Polly po-cket

Insaan jab is jahan mein aya uske pass gam tha
Aur jab is jahan se gaya tau uske pass gam tha
Khushi usne jis lamhe ko samajha aye rab
Dar-asal tab uske gam ka ehsas kam tha
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
har koyi saath ho ye zarori nahi hota
jagah to dil mein banayi jati hai
pas ho kar bhi dosti itni atoot nahi hoti
jetni ke door reh kar nibhayi jati hai

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Kya ek dusre ko samajhna hai
Ya phir aasani se koi baat kehna hai
Ya shayad ek dusre par bharosa karna hai
Ya phir kisi begane ko apna karna hai
Kabhi uski baat par hasna hai
Toh kabhi usi baat par sochna hai
Kabhi baar baar milna hai
Aur kabhi bina mile dil ka haal batana hai
Kuch aur nahi ye DOSTI hi hai
Jisne dhaagon mein dilon ko piroya hai
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Khwaabon Khayal HaQeeQat Nahi Hote,
Rang Sabhi Pakke Nahi Hote,
Log Duniyake Sabhi Sachhe Nahi Hote,
Dost Ehbaab Jaise Bhi Ho Achhe Nahi Hote,
Khud Ka Matlab Nikal Jaye To Muh Lete Hai Mod,
Bachhe Bhi Aajkal Bachhe Nahi Hote,
Khushiyan To Pal Bhar Ki Hai Ab Samajh Aya,
Gam Ke Lambe Dhaage Kachhe Nahi Hote,
Aye Dost Sambhal Ja Tu Ab Is Bazm Mein,
Is Bazm Mein Log Apne Nahi Hote.
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>

TUM HO TO MUJHE SAB SILSILE ACHHE LAGTE HAIN
MUJHE TUMHARI DOSTI KE HAR GILEY ACHHE LAGTE HAIN
BAHUT DOOR TAK JANA PAR LAUT BHI AANA
MUJHE TUMSE TUMHI TAK FAASLE ACHHE LAGTE HAIN
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Lamha Lamha aapke hothon par muskan rahe
har gam se aap aanjaan rahe
jiske saath se mehak uthe aapki zindagi
hamesha aap ke paas wohi insaan rahe

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
DOSTI SHABD NAHI JO KAHA JAYE
JISM NAHI JO FANAA HO JAYE
SAFAR NAHI JO MUKAAM PAYE
YE WO EHSHAS HAI JISKE LIYE
AGAR JIYA JAYE TO
ZINDAGI KAM PAD JAYE
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
KABHI ANDHERA TO KABHI SHAAM HOGI
MERI HAR KHUSHI DOSTI KE NAAM HOGI
KUCHH MANG KAR TO DEKHO HUMSE
HOTHON PE HANSI AUR HATHELI PE JAAN HOGI

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
tumhari dosti nawazi mein gehraayi hoti
zameen toot ke taaron pe gir gayi hoti
bahut se log pareshan ho gaye hote
jo baat sach thi woh kahi gayi hoti
khushi ne thik kiya jo humse door door rahi
humare paas jo aati to ro padi hoti
tujhe bhi log humari tarah samajh lete
humare jaiso ki teri agar dosti hoti
main roshni ke sarabon se to bachi rehti
naseeb mein jo jara aur teergi hoti

Hum to yunhi behkudhi me keh baithe
ki hume koi yaad nahi karta
jis ka ho aapke jaisa pyaara dost
vo kabhi kudha se bhi fariyaad nahi karta

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Sab ne kaha dosti ek dard hai
Hummne kaha dard kabool hai
Sab ne kaha is dard ke saath jeena padega
Humne kaha teri dosti ke sath marna bhi kabool hai
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Neend me khwab ki pyaas hai zindagi
ho nzariya toh bindaas hai zindagi
Zism ke rukh me zindagi kuchh bhi ho
Dil ke nazaro me ek ehsaas hai zindagi
Ahamiyat pyaar ki kya kahen aapse
Pyaar hai toh bas mere paas hai zindagi
Paas hokar bhi jo door hai aaj tak
Aise rishto se hi kuchh khaas hai zindagi
Tooti ummeeden fir se judne lagi hain
Har kadam ek nai aash hai zindagi
in sitaaron me ek Dost mil gaya
Verna toh kala aakaash hi hai zindagi